Ghatiya show hai. Generally ghar ki aurte ghar kharaab karti hai par yeh pehla ghar hai jahaan ghar k mard ghar kharaab rahe hai. Is serial main saare mard nalle, nalayak aur nihaayti bevkuf hai. Agar kisi ko apna ghar bigaadna ho toh woh yeh serial roz dekha kare, ghar bigad jaayega. Aur itna ghatiya serial hai ki isme baat India k proud ki hoti hai, sanskaaro ki hoti hai lekin kinjal, baa, toshu, babuji ko chhod k har koi 2,3,4 baar shaadi karne k liye utaawla hai. India main yeh pehla pariwar hai jahaan har koi shaadi karne k liye mara he jaa raha hai. Aur apni biwi ko chhod k sabka dhyaan dusre ki biwi par hai. Kapadia ji shruti se shaadi karne waale hai par anupama k peechhe naha dho k pade hai. Fir is ghar main apna kaam dhandha chhod k sab ek dusre k phate main taang adaate hai. Koi nahi chahta ki koi kuch bada ban paaye. Aur lecture toh aise dete hai jese in logo ne phd kar rakhi ho. Anupama khud ghar tod tod k aage badh rahi hai par lecture khub deti hai. Agar khud chaahe toh kapadia ki life se jaa sakti hai jisse woh shruti se shaadi kar sake par woh bhi wahi padi rehti hai taaki yeh dono shaadi nahi kar paayein. Lekin aag nahi lagaayegi toh serial kese aage badhega. Jeetne par yeh jitna khush hoti hai haarne par yeh utna he tez roti hai, chillaati hai, upar waale ko gaali deti hai, yahaan wahaan bhaagti hai, aur dusro se ummeed karti hai ki koi aur usko musibat main sahaara dein. Yeh kesi aurat hai aaj ki jo mehnat toh bahot karti hai par success milne k baad usko seriously nahi leti hai. Us success ko aur kese continue kiya jaaye us par kaam nahi karti hai.
Sahi kahu toh aap is serial se kuch bhi nahi seekhte. Aur yeh aapko zara bhi nahi sikhaata ki pariwar ko ek karke kese ghar sambhaalte hai. Kese aapas main pyaar baant te hai. Kese ek dusre ka sammaan karte hai. Yeh woh padha likha gawaar parivar hai jisme Paisa toh bahot hai, log khud ko padha likha bhi dikhaate hai par pariwar main ek dusre ko kese sammaan dete hai, kese pyaar dete hai, kese khushi main khush aur dukh main dukhi hote hai...iske baare main kuch nahi jaante hai. Anupama jo sanskaaro ki baat karti hai, samaan ki baat karti hai woh khud aadmi badalne main lagi hai. Samajh nahi aa raha mujhe ki use pati chahiye ya kutta. Kapadia ko toh usne kutta bana he rakha hai jo itna successful hone k baad bhi apni hone waali biwi aur beti ko chhod kar dusri aurat par muh maar raha hai.
Babuji jo hai toh Ghar k head of the family par unki ek nahi chal rahi ghar main. Har koi unhe unsuna kar deta hai. Toshu ko itne behtreen sanskaar mile hai ki uski maa use kitni bhi baar bacha le par woh apni maa ki bezzatti he karta rehta hai. Shaah bhaisaab ghar k woh mard hai jise ghar main har koi saath chahiye par izzat kisi ki nahi karni hai. Jo kabhi kaam par nahi jaata aur ghar main kis ko kese neecha dikhaana hai bas usi k baare main sochta rehta hai. Is ghar ki baa hamesha party badalti reheti hai. Kabhi shah k saath, kabhi toshu k saath, kabhi anupama k saath jahaan jab man karta hai wahaan apni chaal badal deti hai.
Yeh serial starting main accha tha par ab isme har ek aadmi nashe main dhhutt hokar kaam kar raha hai. Inme se kisi ko ghanta farak nahi pad raha hai yeh society ko kya de rahe hai, aur isse society par kya farak padega. Sach kahu toh yeh ghar nahi balki Chidiya ghar hai. Aur maine ise kyu dekh rahi hu taaki main jee bhar k ise gaali de saku.