Insaan ke lalach aur dar ki film hai tumbaad bachpan Mai kahani suni thi ek fakir hota hai Bhagwan usase khush ho kar wardan dete hai ki ohh uske jhole Mai jitne chaye utne Swarn mudra le sakta hai bas use mitti Mai girne mat Dena warna ohh bhi mitti ban jayenge fakir bada khush hota hai Bhagwan se Swarna mudraye mange Jata hai par lalach ke wajha se uska man nahi bharta aur do aur do kahete kahete fakir ka jhola Swarn mudra ke boj tale fat Jata hai Sara Sona mitti ban Jata hai aur yaha Bhagwan bhi antardhan hote hai...bas maanav ke isi kabhi khtma na hone wale lalach ki kahani hai tumbaad... Awesome film hai jarur dekhiyega... Rishto se badkar kuch nahi life Mai yahi sikh deti hai tumbbad